Saturday 27 August 2011

sankalp

Prabhu ki prernaye hai, srijan ki kalpnaye hai / dhara par swarg lane ke sapan hamne sajaye hai / hamari yojnao ko tanik viswas tum de do / chalo aakash ko chhoo le bahut sambhavanaye hai.

Thursday 25 August 2011

desh me jagrookta ka paryay

desh me anna ne jis kranti ka sootrpat kiya hai, uski kalpna bhi kiai ke dwara nahi ki gai hogi, yahi karan hai ki sarkar ne anna ki nistha evam rastrprem ko kum aanka , anytha sarkar pahle se hi anna ko visvas me lekar chalti, uske pratinidhi baukhlakar anna par keechad n uchhalte, jansadharan ki is aandolan me bhagidari ne aalochako ke muh band kar diye hai , phir bhi kuchh sankreen mansikta dhari jo swaym astitvheen hai baukhla rahe hai tatha ise varg vishesh ka aandolan karar dena chah rahe hai, samajh nahi aata ki jo kuchh pratyaksh me ho raha hai usse kaise mukra ja sakta hai ?

desh me jagrookta ka paryay

desh me anna ne jis kranti ka sootrpat kiya hai, uski kalpna bhi kiai ke dwara nahi ki